Monday, 28 July 2014

Tumhari Dil Kashi Kuch Aur Bhi Jallad Ho Jaye

Poet Abdul Hameed Addam

Tumhari Dil Kashi Kuch Aur Bhi Jallad Ho Jaye,

Humare Bab Mein Bhi Kuch Na Kuch Arshaad Ho Jaye,

Haqeeqi Zindagi To Aik Kaifiat Hai Batin Ki,

Wo Kaisi Zindagi Jo Muddat-O-Mayad Ho Jaye,

Humain Dars-E-Degar K Pech Mein Mat Daal Aye Haadi,

Ghaneemat Hai Agar Pehla Sabaq Hi Yad Ho Jaye,

Mujhe Maloom Hai Manzal Nahayat Door Hai Lekin,

Agar Koi Bagola Ma'ail-E-Imdad Ho Jaye,

Chubhe Kanta Koi Bulbul K Seene Mein To Aye Maali,

Mera Iman Hai Taza Chaman Ijad Ho Jaye..........!

Page 156

Saturday, 26 July 2014

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log

Poet Wasiq Ali Athar

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log,

Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log,

Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare,

Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log,

Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho,

Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log,

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri,

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log,

Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha,

Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!

Book Chaman Mein Phool Mehka

Page 32,33

Bad Mere Na Eid Mana Pao Gi Qasid Use Kehna

Poet UMAR RAAHI

Bad Mere Na Eid Mana Pao Gi Qasid Use Kehna,

Din Eid K Aankhon Se Ashak Bahao Gi Qasid Use Kehna,

Sahliyon Ko Dekh K Hanste Muskurate,

Khud Ko Rone Se Na Rok Pao Gi Qasid Use Kehna,

Dhondo Gi Paglon Ki Tarah Eid K Din,

Bhari Mehfil Mein Mujhe Na Pao Gi Qasid Use Kehna,

Dil Torr Diya Samjh K Khel Mohabbat Ko,

Ab Ye Tukrre Na Jorr Pao Gi
Qaisd Use Kehna,

Ja Raha Chhor K Basti Teri Aur Gali,

Lot K Na Aaon Ga Jitna Mujhe Bulao Gi
Qaisd Use Kehna,

Socha Na Thukrane Se Pahle Jo Tum Ne,

RAAHI Ko Ab Apne Kahi Na Pao Gi Qaisd Use Kehna...........!

Friday, 25 July 2014

Ik EID CARD Mila He Is Eid Pe

    EID   CARD

New Eid Collection 14

Poet UMAR RAAHI

Ik EID CARD Mila He Is Eid Pe,

Jo Kisi Albeli Na Likha He Kuch Youn,

Bin Dilbar Tere Eid Manati Nahi,

Ye Bikhri Bikhri Zulfain,

Sanwarti Nahi
Phool In Mein Sajati Nahi,

Lagati Nahi
Main Aakhon Mein Kajal,

Honton Pe Lali Bhi Sajati Nahi,

Bethi Hon Chokhat Pe Teri Muntzir,

Kaan Mein Tere Qadamon Ki,

Aahat Pati Nahi,

Sooni Sooni He Meri Kalaiyan,

Koi Bele Ka Kangan
Ya Choorriyan Sajati Nahi,

Gar Mahndi Laga Lon,

Hatheli Pe Tera Naam Likhne Ko,

Ab To Hina Bhi Wo Rang Lati Nahi,

Sang Qasid K Ye Sandaisa,

Bheja He Us Deewani Ne,

RAAHI Ab K Eid Pe Lot Aao Na,

Bin Tere Koi Eid Main Manati Nahi...............!

Thursday, 24 July 2014

Tumhari Ankhen Kehti HEn Hisar-e-Zat Se Nikl0

Tumhari Ankhen Kehti HEn Hisar-e-Zat Se Nikl0

TamaNa Meri Ban Ja0
Shab-e-Barbad Se Nikl0

Kinara Tham L0 DiL Ka Bhula D0 Sb Gily Shikwy

Kabi Sachi Hansi Hans D0 Purani Yad Se Nikl0

Khyal-e-Yaar Acha Hy Mgr Jis Ne Wfa Na Ki

Palat Kr Phr Sda Na D0 Dar-e-Faryad Se Nikl0

Aj Ki Rat Ka Pehlu Achank Hm Se Kehta Hy

Saja L0 Ankh Me Sapny Andheri Rat Se Nikl0

Nhi Tum K0 Gwara Ab Hmara Qurb T0 Keh D0

Humary Qurb Ki Choro
Tum Is Azab Se Niklo....

Dil Youn Dharka kEh Pareshan Huwa Ho Jaise

Dil Youn Dharka kEh Pareshan Huwa Ho Jaise,

Koi Be Dhiyani Mein Nuqsan Huwa Ho Jaise,

Rukh Badalta H0n To Sahrag Mein Chubhan Hoti Hai,

Ishq Bhi Jung Ka Maidan Huwa Ho Jaise,

Jism Youn Lams-e-Rafaqat K Asar Se Nikla,

Dousre Dour kA Saman Huwa Ho Jaise,

Dil Ne Phir Mere Seene Mein Faqeeri Rakh Di,

t0ot Kar Khud Se Pashemaan Huwa Ho Jaise,

Thaam kAr Hath mEra Aise Woh rOya "mOhSin"

kOi Kafir Se Musliman Huwa Ho Jaise...*

MaJaazi SiLsiLy Ko Yeh KbHi Mitny nHi Deti

MaJaazi SiLsiLy Ko Yeh KbHi Mitny nHi Deti.....
-
____*
-
JO iDDat Sy nHi WaQiF
MOhAbAt Aisi BewA Hy.....*

Thursday, 10 July 2014

R0ak dety Hain Shreyat Ky taqazY warna

R0ak dety Hain Shreyat Ky taqazY warna.
.
.
Main tery naam ki Tasbeeh khud Py farz kar d0n.

AndhEra H0 Raha Hai

-
AndhEra H0 Raha Hai,,,,
,,
,,
ChaL0 Ab DiL Jalaatay Hain...>*
*._.*

Ta'alluq Rakh Lia Baqi, Yakeen Ko Torr Aya Hoon

Ta'alluq Rakh Lia Baqi,
Yakeen Ko Torr Aya Hoon,

Kisi Ka Sath Dena Tha,
Kisi Ko Chorr Aya Hoon,

Us kay Sath Jeenay Ki Qasam
Khany Se Kuch Pehle,

Main Kuch Waday,
Kai Qasmain,
Kahin Per Torr Aya Hoon,

Palat Kar Aa Gaya Lekin,
Yon Lagta Hy K Apna Ap,

Jahan Wo Mujh Se Bichra Tha,
Wahin Pe Chorr Aya Hoon,

Usay Janay Ki Jaldi Thi,
So Main Ankhon Hi Ankhon Mein,

Jahan Tak Chor Sakta Tha,
Wahan Tak Chor Aya Hoon.....

Sukhan-E-Haq Ko Fazeelat nhi Milne Wali

Sukhan-E-Haq Ko Fazeelat nhi Milne Wali,
'
Sabar Par Daad-E-Shuja'at nhi Milne Wali,
'
Waqt-E-Maloom Ki Dehshat se Larazta Howa DilL,
'
Dooba Jata Hai k MohlLat Nhi Milne Wali,
'
Zindagi Nazar Guzari To Mili Chadar-E-Khaak,
'
Is Se Kam par To Ye Nemat nhi Milne WalLi,
'
Raas Aane Lagi Duniya To Kaha DilL ne K Ja.!
'
Ab Tujhe Dard ki DolLat Nhi Milne walLi,
'
Hawas-E-Luqma-E-Tar Kha Gai Lehje Ka Jalaal,
'
Ab kisi Harf Ko Hurmat Nhi Milne Wali,
'
Ghar Se Nikly HOuy BetOn Ka muqaddar Maloom,
'
Maan k QadmOn MEn bhi Janat Nhi MilLne Wali,
'
ZindaGi Bhar ki Kamai Yehi Misre Do Chaar,
'
Is Kamai Pe to Ye Izat Nhi MilLne Wali...

KaHa DHarKan JiGar Saans0n Ko Tum Se Piyaar Hai LaiLa

KaHa DHarKan JiGar Saans0n Ko Tum Se Piyaar Hai LaiLa..
-
KaHa ADBi Dua0n Se BaHuT Bezaar Hai LaiLa..
-
KaHa MaJn00n Ki CHaHaT Ne TumHEin LaiLa Bana DaaLa..
-
KaHa MaJn00n Jun00ni Ki To KHuD Maimaar Hai LaiLa..
-
KaHa ManJno0n NiGaHein PHHer Le Jo Kia Karen Gi Ji..
.
KaHa MaJno0n Na Kar Paai To PHHir BeKaar Hai LaiLa..
.
KaHa Par MalKa-E-Husn-E-JaHa'n To Aur K0i Hai..
-
KaHa ParDaH NasHeen Hai Warna To SaR'Daar Hai LaiLa..
-
KaHa Ye HiJr Ki RaaTeIn MuJHe Kiy0n BaKHsH Dein SaHiB..
-
KaHa SHa'air Banane Ko BaHuT Fan'Kaar Hai LaiLa..
-
KaHa In ZaHiD0n K0 KucHH RiayaT IsHQ MEin DiJiYe..
.
KaHa Ho0r0n Ka Naa S00cHEn To KucHH TaYaar Hai LaiLa..
-
KaHa TanHa Milo Naa SirF KucHH GHazLen Sunaani Hain..
-
KaHa Ham SaB SamJHTE Hain BaHuT H0sHiyaar Hai LaiLa..
-
KaHa Shamma PaTanGy #Qais LaiLa MEin SiTam'Gar K0n...?
-
KaHa SHamma BHi N00ri N00r Ka Minaar BHi LaiLa...
.
PoeT:
(SHaHZaaD_Qais)
-
MuFLiS.BuKharI..!

Tere Kooche Ka Hai Maa'il Dil-E-Muztar Mera


*....Tere Kooche Ka Hai Maa'il Dil-E-Muztar Mera........*
,
,
*....Kaaba Ek 0r Sahi, Qibla-Numa 0r Sahi.......*

GoOd ni8......*

Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huye

Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huye.......*
.
.
.
.
Us K Rukhsar Pe He Jese Ramzan Ka Maheena.......*