Tuesday 13 May 2014

Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi


.
Poet:MOHSIN NAQVI

Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi
Qafas Bhi,

Ab Ay Dil Kam Zarf Kisi Shehar Bas Bhi,

Thukra K Jo Aaya Hai
Samndar Ki Sakhawat,

Ab Dashat-E-Musaft Mein Ghataon Ko Taras Bhi,

Main Payas Ka Sehra Keh Guzar Gaah Hon Teri,

Too Abr Ki Soorat Hai,
Kabhi Mujh Pe Baras Bhi,

Ghayel Meri Riftar Teri Kam Safari Hai,

Hayel Mere Raste Mein Thi Aawaz-E-Jaras Bhi,

MOHSIN Mujhe Cherrein Ge Bahat Chaand Nadi Phool,

Aaya Na Mera Yaar Agar Ab K Baras Bhi.........!
.
Book Kulyat-E-Mohsin Page 1152
.
Follow MuFLiS.BuKharI Send 8002

Kalyan Ishq Kamana Okha

!...Bulley Shah...!
*,
*,
*,
Kalyan Ishq Kamana Okha.........*,
*,
Kisy Nu Yaar Banana Okha..........*,
*,
Piyar Piyar Te Har Koi Boly............*,
*,
Kar K Piyar Nibhana Okha............*,
*,
Har Koi Dokhaan Te Hass Lenda Aye....*,
*,
Kisi Da Dard Wandana Okha.............*,
*,
Galaan Nal Nai Rutby Mildy.............*,
*,
Jogi Bhes Watana Okha............*,
*,
Koi Kisy Di Gaal Nai Sunda............*,
*,
Lokaan Nu Samjhana Okha...........*,
*,
*,
E N D...............*,

Jis Dil Wich Sajan Wass Jaiye

Kalam By:
BaBa Ghulam Fareed

*._.*
Jis Dil Wich Sajan Wass Jaiye,
--
Uss Dil te Zulam kamayi Da Nai
--
Jadon Pyar kisy Naal Pa Laiye,
--
Ohnu kalleyaan Chad k Jayi Da Nai,
--
Tenu ki Dassaan, Tu Jaan Da Nai,
--
Aye Pyar Di Gal Fareeda,
--
Jehrrha Zakhm Dilbar Yaar Deway,
--
Uss Zakhm Te Marham Layi Da Nai..................:-)
*._.*

Mazeed Poetry k lye
Follow MuFLiS.BuKharI Send 8002

Wo Bar Bar Mujey Aazmata Raha

                 *._GHAZAL_.*

--
Wo Bar Bar Mujey Aazmata Raha,
--
Marey Ansoun Say Shama bohjata Raha,
--
Us Nein Dost b Mujey kaha Magar,
--
Dushmano ki Tarah Rolata Raha,
--
Ungli Pakr kar Aksar Andhere Raston Main,
--
Wo Bar Bar Muj ko Girata Raha,
--
Ayisi b Bhala kya Muhabbat,
--
Main Dobta Raha Wo Muskurata Rha................:-)
*._.*

Ajeeb Shakhs Tha Har Ek Se Pyar Mangta Tha

MuFLiS.BuKharI:
--
Poet : Not Conform
--
Ajeeb Shakhs Tha Har Ek Se Pyar Mangta Tha,
--
Jahan koi Dard Na Ho Aisa Yaar Mangta Tha,
--
Jo Mangta Tha Wo Dena Meri Hesiyat Na Thi,
--
Wo Meri Rooh ka Mujh Se Qarar Mangta Tha,
--
Usay Gharz Thi Na Phoolon Se, Na Baharon Se Zara,
--
Wo Fasl-e-Ranj Mein Fasl-e-Bahaar Mangta Tha,
--
Usay Talab Thi koi Toot kr Usay Chahe,
--
Wo Hath Jorr k Ulfat ka Izhaar Mangta tha,
--
Mere khuloos Pe Shayed Usay Shak Tha,
--
Wafa ki Raah Mein Wo Eitbaar Mangta Tha..............:-)
*._.*
Daily Long Poetry k lye
Follow MuFLiS.BuKharI Send 8002

vEeran Bah0t Hon, WasaL Se TashkEeL Kar MujHe

MuFLiS.BuKharI:
=*=*=*=*=*=*=*=*=*=*=*=
SEHRA KI TAPTI RAIT SE
=*=*=*=*=*=*=*=*=*=*=*=

TYPE BY/
;;;;MuFLiS.BuKharI;;;;
,,
+,,
vEeran Bah0t Hon, WasaL Se TashkEeL Kar MujHe,
.
Tu Mujh Se Pyar Kar Zara TabdEeL Kar Mujhe,
.
sEhra Ki Tapti Rait sE Aa Kar Mujhe Bacha,
.
Tu Thanday mEethaY Pani kI Ik JhEeL kAr Mujhe,
.
HO Jain Na Kharab KahEn mEri AadatEn,
.
Har Hukm Par Na Es Tarah Taa'mEeL Kar MujhE,
.
Ab Es Tarah Se Mujh Ko Adhura Na Chorr tU,
.
Main H0n tEra wada tO Ab TakmEeL Kar Mujhe,
.
Chhu kar mEra Wajud TajjaLi Si Bakhsh De,
.
Main ik AndhEri Raat H0n,QandEeL Kar Mujhe...*
.
TYPINg DaTE.29.03.2013
TiME.09:45 PM
.
.
Mazeed Poetry k Liye Follow MuFLiS.BuKharI Snd 8001

Is Sy PEhlay Kay Rut Badal Jaye...!


Is Sy PEhlay
Kay Rut Badal
Jaye...!

Apny Saary
GuLaab Lay Jana...!

Waja P0chny ka to0 m0qa hi na mila

Waja P0chny ka to0 m0qa hi na mila.,

   ,wasi, :(

Woh Lehja badalte gaye aur hum Ajnabi h0ty gaye. :(

Na KisI Ki AanKh Ka Noor Hoon Na Kisi K DiL Ka QarAar HOon

Poet: Bahadur Shah Zafar

*..*Na KisI Ki AanKh Ka Noor Hoon Na Kisi K DiL Ka QarAar HOon,

Jo Kisi K kAam Na Aa SaKy, MaIn WO AIk MuSht'E'GhuBbaR hOon,

*..*MerA RanG ROop BIg'grr GyA, MerA Yaar Mujh Sy BIchhAr GyA,

JO ChAmAn KhiZan Sy UjjRr GyA, Main Ussi Ki FasL'E'BahAar HOon,

*..*PayE FAtihA Koi AyE Q, Koi ChAar PhOOl ChArHayE Q,

Koi Aa k ShAmMa jAlAye Q, Main WO BE'kASi kA MazAar hOon,

*..*Main NahE Hoon Naghm'E' Jaa'n Fiza, MujY Sun K kOi Kary Ga Kya,

Main Bary He RoG Ki Hoon Sad'Aa, Main BarY DukhOon Ki PukAar Hoon.

Hasrat Bhari Nigahon ko aaraam Tak nahi

Hasrat Bhari Nigahon ko aaraam Tak nahi,

Woh yun Badal Gaya k Ab Salam Tak nahi

Jis ki Talab Mein zindagi Apni Guzaar di,

Us Be-wafa k Lab Pe Mera Naam Tak nahi

Jo Keh Gaye Thay Shaam ko Baithenge Aaj Phir,

Kuch Saal Ho Gaye koi Paighaam Tak nahi,

Dafan hun Tere Hijar ki ik Aisi Qabar Mein,

Kutbay Pe Jis k Aaj Koi Naam Tak nahi

Be-ikhtiyaar Uthtay Hain Mere Qadam idhar Udhar,

Haalan k Us Gali Mein Mujhe kaam Tak nahi...*