Saturday 16 August 2014

Zillat-e-Tanhai Sey Ghabra k Aai hun

Zillat-e-Tanhai Sey Ghabra k Aai hun
--
Main Abhi Abhi Shaher-e-Wafa Se Aai Hun
--
Kuch Dair Hawa ko Baaton Mein LAgaye Rakhna
--
Main Ghar Mein ik Charagh Jala k Aai Hon
--
US Ne Pocha Hay ehd-e-wafa Nibhao Gey
--
Parveen
--
So Hathon Mein Quraan Utha k Aai Hon
--
WO Chahay To Ab Mujse
Tark-e-Talluq ker Ley
--
WO Meri ZINDAGI Hay Usy Bata k Aai Hon
--
WO Ab B Mujhe Ana Parast Smjhta Hay
--
Main Jisay Ro Ro k Mana k Aai Hu.

Friday 15 August 2014

Roz-o-shab youn na aziyat mein guzaray hotay

Roz-o-shab youn na aziyat mein guzaray hotay.....
.
Chain aa jata agar khail k haaray hotay.....
.
Khud se fursat hi muyassar nhi aayi warna.....
.
Ham kisi aur k hotay to Tumaray hotay.....
.
Tujh ko bhi gham ne agar theek se pakra hota.....
.
Teray chehray pe khad-o-khaal hamaray hotay.....
.
Ik bhi moaj agar meri himayat karti.....
.
Main ne us paar kayi log utaray hotay.....
.
Lag gayi aur kahin umar ki poonji warna.....
.
Zindagi ham teri dehleez pe haaray hotay.....
.
Kharch ho jatay isi aik mohabbat mein.....
.
Dil agar aur bhi seenay mein hamaray hotay.....

Shaam-E-BeKaif Ko Pur Kaif Banany WaaLy


Shaam-E-BeKaif Ko Pur Kaif Banany WaaLy

MiL Hi Jaaty Hain Hikayaat Sunaany WaaLy

Kooza-Gar Khoon B Mitti Ma MiLa Laya Hai

Aaj Ye Haath Hain Kuch Khaas Banany WaaLy

Aankh Ma Aik B Aansu Nahi Rehny Dety

Loot Lety Hain Hamen Khuwab Dikhany WaaLy

Ab Andheron Ma Bhatakty Hain To Yaad Aaty Hain

Wo Sar-E-Shaam Chiraghon Ko JaLany WaaLy

Be Khabar Hain K Safeeny Ki Kahani Kia Hai

Door SaahiL Py Kharry Haath HiLaany WaaLy

Dar_o_Diwaar Sy Hasrt Si Barsti Hai "QATEEL"

Jany Kis Dais Ga'y Pyar NibhanY Walay...!     

Hum Hain Mata-E-Koocha-O-Bazar Ki Tarah

Poet Majrooh Sultanpur

Hum Hain Mata-E-Koocha-O-Bazar Ki Tarah,

Uthti He Har Nigah Khareedar Ki Tarah,

Is Koo-E-Tashngi Mein Bahot He Keh Aik Jaam,

Hath Aa Gaya He Dolat-E-Bedar Ki Tarah,

Dil To Yahi Kahi He Magr Dil K Aas Pas,

Phirti He Koi Shay Nigah-E-Yaar Ki Tarah,

Seedhi He Raah-E-Shoq Par You'n He Kahi Kahi,

Kham Ho Gai He Geesoo-E-Dildar Ki Tarah,

MAJROOH Likh Rahe Hain Wo Ahl-E-Wafa Ka Naam,

Hum Bhi Kharre Hain Gunahgar Ki Tarah...........!
.
Page 53

Sunday 10 August 2014

MEra Jun00n.E.Sh0q, W0h Arz.E.Wafaa Ky Baad

MEra Jun00n.E.Sh0q, W0h Arz.E.Wafaa Ky Baad..*
--
W0h Shan.E.Ehtiaat TEri Har Adaa Ky Baad..*
--
TEri Khabar Nahi Magr Itni T0 Hy Khabar..*
--
T00 Ibtadaa Sy PEhly Hy T00 Intahaa Ky Baad..*

--
G0 Dil Sy Tang H00n Magr Aata Hy YEh Khayaal..*
--
Phir Ji K Kya Kr00n Ga Dil.E.Mubtalaa Ky Baad..*
--
Haa'n Phir Inhii HasEEn NiGaah0'n Ka Wasta..*
--
Th0ra Sa ZEhar Bhi MEri Khatir Dawaa Ky Baad..... ..*
--
W0h Shan.E.Ehtiaat TEri Har Adaa Ky Baad..*
--
TEri Khabar Nahi Magr Itni T0 Hy Khabar..*
--
T00 Ibtadaa Sy PEhly Hy T00 Intahaa Ky Baad..*

--
G0 Dil Sy Tang H00n Magr Aata Hy YEh Khayaal..*
--
Phir Ji K Kya Kr00n Ga Dil.E.Mubtalaa Ky Baad..*
--
Haa'n Phir Inhii HasEEn NiGaah0'n Ka Wasta..*
--
Th0ra Sa ZEhar Bhi MEri Khatir Dawaa Ky Baad.....

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K

Poet Faiz Ahmad Faiz

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K,

Wo Ja Raha Hai Koi Shab-E-Gham Guzar K,

Weeran Hai Maikada Khum-O-Saghar Udas Hain,

Tum Kia Gaye K Rooth Gaye Din Bahar K,

Ek Fursat-E-Gunah Mili Wo Bhi Chaar Din,

Dekhe Hain Hum Ne Hosle Parwardegar K,

Dunia Ne Teri Yad Se Begana Kar Dia,

Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgar K,

Bhoole Se Muskra To Diye Wo Aaj FAIZ,

Mat Pooch Walvale Dil-E-Na Karda Kaar K..................!