Monday 5 August 2013

Ankh Se Door Na Ho.DiL Se Utar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz” Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga

No comments:

Post a Comment