Saturday 10 August 2013

Anokhi Wazaa Hai Saray Zamane Se

Anokhi wazaa hai, saare zamane sy niraalay hain.. . Yeh Aashiq kon si Basti k Yaa rab rehne wale hain.. . Elaaj-e-dard mein bhi dard ki Lazzat pe marta hoon.. . Jo thy chaalon mein kaantay,nok-e-sozan se nikale hain.. . Phala phoola rahe Yaa rab chaman meri umeedon ka.. . Jigar ka khoon de de kar yeh boote hum ne pale hain.. . Rulati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki.. . Niraala ishQ hai mera,Niraalay mere Naalay hain.. . Na poocho mujh se Lazzat khanmaan Barbaad rehne ki.. . Nashaiman sainkaron mein ne Bana kar phonk Dalay hain.. . Umeed-e-Hoor ne sab kuch seekha rakha hai Waaez ko.. . Yeh hazrat dekhne mein seedhe saade, Bhoolay Bhaalay hain.. . Mere ashaar Ae iQbaal kyon pyaare na hoon mujh ko.. . Mere tootay hue diL k dard Angaiz naalay hain...
Poet: Allama IqbaaL ..

No comments:

Post a Comment