Monday 5 August 2013

Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam

GhaZzaL Barish Thi Hum Thy Aur Ghani Ho Rahi Thi Sham, Tum Ne Lia Tha Kaanpte Honton Se Mera Naam, Main Ne Kaha Tha Aao Yon Hi Bheegte Chalain, In Raston Mein Deir Talak Ghomte Chalain, Meri Kamar Mein Hath Ye Phoolon Sa Daal Kr, Kandhe Pe Mere Rakhy Raho YonHi Apna Sir, Hathon Ko Kabhi Main Balon Ko Chom Lon, Dekho Meri Taraf To Main Aankhon Ko Chom Lon, Pani K Ye Jo Phool Hain Rukh Pe Khile Howe, In Mein Dhanak K Rung Hain Sare Ghulay Howe, Honton Se Un Ko Chunte Rahain Khush Dili K Sath, Tari Humain Talash Karain Chandni K Sath, Yon Hi Kisi Darkht K Neeche Khare Rahain, Barish K Deir Bad Bhi Lipte Khare Rahain, Tum Ne Kaha Tha Aao Chalain RatAa Gai, Dil Jis Se Dar Raha Tha Wohi Bat Aa Gai, Beetay Samay Ki Yad Hi Raston Mein Reh Na Jaye, Ye Dil Kahin Wisaal Ki Barish Mein Beh Na Jaye, Kuch Deir Aik Chup Si Rahi Darmyan Mein, Girhain Se Jaise Parne Lagi Hon Zaban Main'

No comments:

Post a Comment