Wednesday 7 August 2013

Charha Huwa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka “Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka...*

No comments:

Post a Comment