Wednesday 7 August 2013

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Hum

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ? Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain...*

No comments:

Post a Comment