Friday 24 October 2014

Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main

Matlab Mamlat Ka Kuch Pa Gia Hon Main,

Hans Kar Fareb-E-Chashm-E-Karam Kha Gia Hon Main,

Bas Intaha Hai Choriye Bas Rehne Dijiye,

Khud Apne Itamad Se Sharma Gia Hon Main,

Saqi Zara Nigah Mila Kar To Dekhna,

Kam Bakht Hosh Mein To Nahi Aa Gia Hon Main,

Shaid Mujhe Nikal K Pachta Rahe Hon Aap,

Mehfil Mein Is Khayal Se Phir Aa Gia Hon Main,

Kia Ab Hisab Bhi To Mera Le Ga Hashar Mein,

Kia Ye Atab Kam Hai Yahan Aa Gia Hon Main,

Main Ishq Hon Mera Bhala Kia Kaam Daar Se,

Wo Shara Thi Jisay Wahan Latka Gia Hon Main,

Nikla Tha Maikade Se K Ab Ghar Chalon,N Jan,

Ghabra K Soo-E-Maikada Phir Gia Hon..

No comments:

Post a Comment