PaLkon Pe Aansoun Ko....>
Thursday, 29 August 2013
Apne Honton Se Tere Honton Ko
Apny Honto'n Se Tere Honto'n Ko GeeLa Kr Don,
Tere Honto'n Ko Me Or B RaseeLa Kr Don)
Apne DiL Ko Sambhalo Or So Jao
*NIGHT GHAZAL* * * * * * * * * * * * *
Apny Dil ko Sambhalo or so jao, Anso Ankhon mei chupa lo or so jao, Kuch nahi Milta ishq mei siway is k, Ghum ki Barish mei Naha lo or so jao, Chor Do ye Ratoo ko Dair tak Jagna, Uski yaad Dil sy Mita lo or so jao, Ishq mei Hamesha Be-wafai hi Hoti hai, Ye Baat Zehan mei Bitha lo or so jao.
GOOD*NIGHT
"MeMorIeS NeveR Die"
DiL Ki ZiD Ne Mujhe MajboOr Kiya Hai
*..Dill Ke Zid Ne Mujhe Majboor Kia Hy Warna.. = !!!
*..Ham Ghareebo'n Ka Nawabo'n Se Ta'alluq Kaisa =..?
Deen Se DooR Na Mazhab Se Alag Betha Hon
'PoEt NaSeer-Ud-Deen NaSeer
' DeeN sE DooR na MazHab sE AlaG BetHa HoN,,* /
TEri DEhlEez Pe hoN SaB sE AlaG BetHa HoN,,* -
DHaNg Ki BAat KahE Koi To BoLoN MaiN BHi,,* "
MAtlaBi hoN kiSi MAtlAb sE AlaG BEtHa HoN,,* !
BazM-E-AhBAaB MEn HAasiL Na HoWA CHeiN MujHe,,* '
MutMa'iN DiL HEy BoHat JaB sE AlaG BEtHa HoN,,* :
GhaiR sE DooR MaGar UsKi NigHahoN K QaReen,,* _
MEhfiL-E-YaaR MEn iS DHabH sE AlaG BEtHa HoN,,* ;
YeHi MasLak HEy MEra oR yEhi MEra MuQaam,,* +
Aaj TaK KHawAish-E-ManSab sE AlaG BEtha HoN,,* =
UMaR KarTa HoN BaSaR GoSha-E-TanHai MEn,,* >
JaB sE Wo RootH GayE TaB sE AlaG BEtHa hoN,,* ^
MEra Andaaz 'NASEER' AHl-E-jAhaN sE HEy JuDa,,*
& SaB MEn ShaaMiL hoN MaGar SaB sE AlaG BEtHa hoN.
Mere PiyaA Ab Mujhe JaAney Bhi Do
MEre PiyaA aB MujHe JAaNEy Bi Do,,* ,
KaHEen ZaliM ZaMaaNa DeKh Na LEy,,* ,
MujHe TuM sE KaHEen JuDa KaR Na DEy,,*,
Ho K JuDa TuM SEy MaiN KaHEen MaR Na JaAon,,* ,
JAaNEy Do PiyAa KaHEen ZaliM ZaMaaNa DeKh Na LEy,,* ,
MaiN PhiR LAot K AaoN Gi,,* , BaHon MEn ApNi PhiR Sy SuLaoN Gi,,* ,
SEeNEy SEy ApNEy LaGaoN Gi,,* , MuHaBBat KEy GeEet SuNaoN Gi,,* , SaatH JEeNEy MarNEy Ki Ada DikhaoN Gi,,* ,
KeSEy GuZarTEy HEin Din TuM Bin BataoN Gi,,* ,
Ye MuHaBBat KiyA Hy BataoN Gi,,* , MujHe TuM SEy HEy PiyAar KitNa BataoN Gi,,* ,
JAaNEy BHi Do ZaFar PiyAa aB KaHEen ZaliM ZaMaaNa DeKh Na LEy
Kuch Din Se Tere Sath Koi Baat Nahi Hai
Kuch din sy tere sath koi baat Nahi hai, Youn lgta hai sadyon sy mulaqat ni hai, Dukh dard sunao muje hr baat btao, Ye dil ki khwahish hai meri baat ni hai, Jb yad teri aey to aa jatay hen aansu, Mai kesay kahon ankh me Barsat ni hai, Sokhay hove kuch phool hen aur ashk hen taza, Kuch aur mere pas Soghaat ni hai, Waqif hai mere dard Sy Subho ka ujala, La_ilm mere gham sy meri raat ni hai, Mai jiski Mohabat me youn behaal hua hon, Wo hans k ye kehta hai koi baat ni hai. Love for all
Ay Khuda Ik Uljhan To SuLjha
_GHAM____* ,,,
,,,, Ay Khuda , , ,! Ik Uljhan T0 SulJha,, , YE J0 Aik TEri Marzi Hai,, , Aur W0 J0 Aik MEri Marzi Hai,, , Aur Us K BEEch MEi'n J0 Farq Hai,, , J0 Khalaa Hai,, , W0 Is Kaainaat Ka PEhla Dard Hai,, , Aur WahEE'n KahEE'n,, , Gham Ka Ik SEhra Vairaan Hai..* Ay Khuda , , ,! , MEra Ehsaas T0 Sun,, , Tu MEri Pukaar T0 Sun,, , YE Mhf00z REhmatain Hain TEri,, , In MEin SE Ik REhmat K0 Utaar,, , YE J0 Aik TEri Marzi Hai,, , Aur W0 J0 Aik MEri Marzi Hai,, , Is K BEEch MEin J0 Farq Hai,, , W0 Chand Ghariy0n K LiyE,, , Mita Kar T0 Daikh,, , Gham K Is SEhra Par,, , Khushi Ka Ik Dariya Baha Kar T0 Daikh,, , Ay Khuda, , , , Tu 'RaJu' Ki Pukaar T0 Sun...>* *._.*
Saturday, 17 August 2013
Sunday, 11 August 2013
Saturday, 10 August 2013
Samne Sab K Na Bolen Ge
Poet Baqi Ahmad Poori
Samne Sab K Na Bolein Gay Humara Kia Hai, Chup K Tanhai Mein Ro Lein Gay Humara Kia Hai, Gulshan-E-Ishq Mein Har Phool Tumhara Hi Sahi, Hum Koi Khaar Chabo Lein Gay Humara Kia Hai, Umar Bhar Kon Rahe Abar-E-Karam Ka Mohtaj, Dagh-E-Dil Ashkon Se Dho Lein Gay Humara Kia Hai, Hath Aaya Na Agar Dast-E-Hanai Tera, Unglian Khoon Mein Dabo Lein Gay Humara Kia Hai, Tum Ne Mahlon K Ilawa Nahi Dekha Kuch Bhi, Hum To Footh Path Pe So Lein Gay Humara Kia Hai, Apni Manzal To Sarabon Ka Safar Hai Baqi, Hum Kisi Rah Pe Ho Lein Gay Humara Kia Hai.........*
Anokhi Wazaa Hai Saray Zamane Se
Anokhi wazaa hai, saare zamane sy niraalay hain.. . Yeh Aashiq kon si Basti k Yaa rab rehne wale hain.. . Elaaj-e-dard mein bhi dard ki Lazzat pe marta hoon.. . Jo thy chaalon mein kaantay,nok-e-sozan se nikale hain.. . Phala phoola rahe Yaa rab chaman meri umeedon ka.. . Jigar ka khoon de de kar yeh boote hum ne pale hain.. . Rulati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki.. . Niraala ishQ hai mera,Niraalay mere Naalay hain.. . Na poocho mujh se Lazzat khanmaan Barbaad rehne ki.. . Nashaiman sainkaron mein ne Bana kar phonk Dalay hain.. . Umeed-e-Hoor ne sab kuch seekha rakha hai Waaez ko.. . Yeh hazrat dekhne mein seedhe saade, Bhoolay Bhaalay hain.. . Mere ashaar Ae iQbaal kyon pyaare na hoon mujh ko.. . Mere tootay hue diL k dard Angaiz naalay hain...
Poet: Allama IqbaaL ..
Abhi Is Taraf Nigah Na Kar Mein Ghazal Ki Palkain Sanwar LoOn
Palkain Sanwar Loon
P0ET Basheer Badar
Abhi Is Taraf Na Nigah Kr Main Ghazal Ki Palkain Sanwar Loon Mera Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aaine Main Utar Loon Main Tamam Din Ka Thaka Howa Tu Tamam Shab Ka Jaga Howa Zara Thehar Ja Isi Morr Par Tere Saath Sham Guzar Loon Ager Asmaan Ki Numayishoon Mein Mujhe Bhi Izn-E-Qayam Ho Tu Main Motiyoon Ki Dukaan Se Teri Baaliyan Tere Haar Loon Kayi Ajnabi Teri Raah K Mere Pass Se Yoon Guzar Gaye Jinhain Dekh Kr Ye Tarrap Howi Tera Naam Le Kr Pukaar Loon. Mazeed Ghazal K Liye Follow MuFLiS.BuKharI Send 8001/8002
ChoOdwin Ka Chaand Ho Ya Aftab Ho
+....Chodwin Ka Chaand Ho, Ya Aftab Ho...+
+....Jo Bhi Ho Tum Khuda Ki Qasam, Lajwab Ho...+
+....Zulfen Hen Jese Kandho Pe, Badl Jhuke Hue...+
+....Aankhen Hen Jese May Ke, Piyyale Bhare Hue...+
+....Masti He Jis Men Piyar Ki Tum Wo Sharab Ho...+
+....Chodwin Ka Chaand Ho Ya Aftab Ho....+
+....Jo Bhi Ho Tum Khuda Ki Qasam Lajawab Ho...+
+....Chehra He Jese Jheelon Men, Hansta Hua Kanwal...+
+....Ya Zindgi Ke Saaz Pe, Cherri Hui Ghazal...+
+....Jan-E-Bahar, Tum Kisi Shaair Ka Khuwab Ho...+
+....Chodwin Ka Chaand Ho, Ya Aftab Ho...+
+....Jo Bhi Ho Tum Khuda Ki Qasam, Lajwab Ho...+
+....Honton Pe Khelti Hen, Tabssum Ki Bijliyan...+
+....Sajde Tumhari Raah Men, Karti He Kehkashan...+
+....Duniya-E-HuSn-O-Ishaq Ka Tum Hi Shabab Ho...+
+....Chodwin Ka Chaand Ho...+
X Ko Delete Karna
x/ x,-x-, , x, ,x --x. x/x / x/ x! x/ x/x--x '--x- '-x-' 'x-' x 'x--x- U Friend. Es se Sirf X Delete krna or dekho k Eid ka advance gift kesa hy.
>=BuKharI=>
Hijar Ki Maari In Aankhon Ko
Hijar Ki Maari In Aankho'n Ko Ashko'n Ki Tamheed Mubarak, . . .
Jin Aankho'n Mein Tum Basty Ho, Un Aankho'n Ko Eid Mubarak.
Ek Chehra Jo Mere Khawab Saja Deta Hai
,',','GHAZAL,',','
"Ek chehra jo mere khuwab saja deta hai,
"Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai..
"Wo mera kon hai maloom nahi hai lekin,
"Jab bhi milta hai to pehlu main jaga deta hai..
"Main jo ander se kabhi toot k bikhron,
"Woh mujh ko thaamne k liye haath barha deta hai..
"Main jo tanha kabhi chupke se bhi rona chahon,
"To Dil k darwaaze ki zanjeer hila deta hai..!
One Day You Will Be Mine...*
Wah Eid Ka Din Or Itna Mukhtasar
*"""Wah Eid Ka Din Or Itna Mukhtasar...* +BuKharI+ +
*"""Din Gina Karty Thay Is Din K Lye...*
Meri Ujari Huwi Basti Ko Younhi Sunsan Rehne Do
Meri Ujari Hoi Basti Ko Yonhi Sunsan Rehne Do = Khushiyan Raas Nhi Aati Mujhe Pareshan Rehne Do, = Zeenat Nhi Banta To Na Ban Dil K Aangan Ki, = Par Apne Aashyane Tak Meri Uraan Rehne Do = Teri Galyon Mein Yon Phirna Agr Nadani Hy To Sun = Main Danishmand Nhi Banta Mujhe Nadan Rehne Do, = Nahi Main Mangta Tujh Se Pholon Se Bhari Tehni, = Jo Jalta Hy Mere Dil Mein Wo Aatishdan Rehne Do, = Teri Hasti Mein Mana Hum Basera Kr Nhi Sakte, = Par Apni Soch Ka Kuch Pal K Liye Mehman Rehne Do, = Peeny Ko Nhi Deta To Mat Dy Jaam Ay Saqi, = Piyen Gay Tere Maikhane Se Ye Arman Rehne do...!
Shafa Deta Hai Zakhmon Ko
Shafa Dyta Hai ZakhM0n k0, TuMhara MarhaMi Lehja.............** ~*~ MaGar J0 DiL Py ChaLty Hain, W0 khanjar Bhi TuMhare Hain...........
Ishq Ki Raah Par Chalte Phir Raat Ho Gai
Ghazal
Ishq Ki Raah Par Chalty Phir Raat Ho Gai Tum Bichar Gaye Tumhein Dhondtey Phir Raat Ho Gai Tumhara Khayal Aaya Tab Dil Ko Mila Sakon Youn Tasawur Mein Tumhein Sochtey Phir Raat Ho Gai Kitni Mudaton Ky Bad Beithey Hain Tumhari Mehfil Mein Bas Aaj Tumhein Deikhtey Phir Raat Ho Gai Tum Na Miley Tumhari Yaadein Hain Merey Paas Tumhari Un Yadon Ko Yaad Kartey Phir Raat Ho Gai Tum Merey Humsafar They Leykin Merey Saath Na Chaley. Mujhey Youn Raston Par Bhataktey Phir Raat Ho Gai...*
Chahat Ki Duniya Mein Ugatey Hain
=> _->Chahat Kiii Duniya Maiii Ugatey Haiii Nafrat K Beej,,
_->Ajeeb Ravi'ay Haiii is Dour Maiii Muhabat Karny Walon K,,
Sabhi Ko Apne Gham Hote Hain
Sabhi Ko Apne Gham H0te Hein Lekin..........*
Mujhe Jo Gham Hai Mera Nahen Hai......................*
Shikwa-e-Ishq Nahi Jurat-e-Gufar Nahi
Shikwa-e-ishq nahi, jurat-e-guftar nahi" Mery hathon men koi jabr ki talwar nahi. Ibn-e-adam hon, insaan se muhabbt ki hy, Aag ka, chand ka, pathar ka paristar nahi. Mene Maana k tu Yousaf saa haseen hy lekin, Ye mera dil hy koi misr ka bazaar nahi. Ay KHUDA mujh ko muhabbt dy ibadt k ewaz, Mein to teri kisi jannat ka kharidar nahi. Jis ne insan se muhabbt hi na ki ho IQBAL, Dar Haqeqat wo khuda ka b talabgar nahi...
WOh Larki Bhi Ik Ajeeb Paheli Thi
Woh larki bhe Ek Ajab Pahali teh.. Piyasay Hont ThaY Anth samandar jese teh... SoraJ Usko Dakhe k Pe,la Parta tha woh SarmaA ke Dhop main Dhool kr Nekli Teh... Us ko Apnay SaYaY Sa Dar lagta tha Souch k Sehra main woh Tanha Herni teh... AtaY JATAY Mosam usko Dastay thay HenstAy HensTAY PAlkoin sa Ro parti teh.. Adhi Rat Ganwa Deti teh chup reh kr Adhi Rat k Chand sa Batain krte Teh... Dour sa Ojray Mandar jesa Ghr UsKa Woh ApnaY Ghr main Akhloti Davi Teh! Mosam SaY Nazk Jism Sahar ko DakhE,ta tha DaYAY JAla kr Shab bhar Ap PeGlti Teh..TEZ HAWA ko Rok k apnaY ANCHAL pr Sokhay bhol Ekhtay krte pherti teh.. Sub pr Zahar krte Teh Bhade apna Sub sa ek Tasver ChopaY Rakhti Teh...kal shub Chekna Chour howa tha dil uska Ya pher Pahli bar woh khol k Roi teh.. MOHSIN Kya janay dhop sa BaY,parwah WOH apnaY GHR ke dahleze pa Bathi kesi ka EntaZar kr Rehe Teh...
Thursday, 8 August 2013
Dhanak Rang Choriyan Pehnay
Dhanak rang ChoriYan pehnaY SajaY h0n hath mehndi sY LgaaYe Aankh me Kaajal Hamary saamnY aa ker Mubark Eid ki wo Dy Hmari Eid hO JaYe .
Din Bhar Khafa Thi Mujh Se
Chaand Raat Mubarik Ho...!
Din Bhar Khafa Thi Mujh Se Mgr Chand Raat Ko...
Mehndi Se Mera Naam Likha Usny Hath Pr....
Chalka Sa Parr Raha Hai
CHalKa Sa Parr RaHa Hai Wasi WeHshTon Ka RanG..
Har CHeez Par ZaWaaL Hai Aur CHanD RaaT Hai"...!! WaSi_SHa
Yeh Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai Ye To Khuwab Hai Kisi Aankh Ka..!
Jisay Jaagnay Ki Saza Mili Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai..!
Woh Azab Jisnay Mila Diya Hai Gulaab Lamhon Ko Khaak Main..!
Ye Jo Chand Hai, Ye Jawab Hai Kisi Is Tarah K Sawal Ka K Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Main..!
Ye Jo Chand Hai Ye To Baab Hai Kisi Dard Ka Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka Kisi Zard Zard Si Fasal Ka..!
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai Kabhi Ban Paray To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna Issay Gehri Gehri Si Neend Se Bhala Kis Nay Aa Ke Jaga Diya..?
Isay Rog Kis Nay Laga Diya..?
Talkhiyaan Barrh Gayein Jab Zeest K Paimaany Mein
Talkhiyaan Barrh Gayein Jab Zeest K Paimaany Mein...
Ghol Kar Dard K Maaro'n Ne Piya Eid Ka Chaand...!!!
Kaprron Ki Dukan Se Door Chand
Kapron Ki Dukan Sy Door Chand Sikkon Ko Ginty Ginty Main Ne Ik Ghreeb Ki Aankhon Men Eid Ko Marty Dekha Hy.
Ghreeb Ko Yaad Rakhna PLZ"
New Eid Gzl
اگوں عید دا چن پیا چڈھدا ای کریں ترس بے ترس روائیں نھیں ......آکھیں عید مبارک کملے نوں رکھیں بھرم تے ملکھ ھسائیں نھیں ........آکھے لگ کے ڈھول شریکاں دے میرے جگر تے بالیں بھائیں نھیں..............کھاڈی نپ کے منت مجاھد کریندا ای میری عید جناب ونجائیں نھیں........
Tere Khiyal Mein Raat Guzar Jati Hai
*USAY KEHNA*
Tere khayal me raat guzr jati hai Bebasi k haal me raat guzr jati hai Tu mujhe yaad krta hai k nahi Issi sawal me raat guzr jati hai Tere chehry ka aks zehan me banate hain Taswar-e-hilaal me raat guzr jati hai Tumhain chaand kahon ya chand jaisa kahon Sochon k jaal me rat guzr jati hai Kash k tu hr waqt mere sath rhe Khwahish-e-kamal me rat guzr jati ha Bghair qismat k kuch bhi nahi milta Bs isi malal mein rat guzr jati hai...*
PhoOl Khushbu Chaand Sitarey Bin Tere
========== UDAS HAI ===========
Phool Khushboo Chaand Sitary Bin Tairy Udas Hai,, Titt-Liyan Jugnoo Kaliyan Bhanwry Bin Tairy Udas Hai,, Beet Gaya Sarma Daikhty Raah Tairi,, Aata Huwa Muasam-E-Bahaar Bin Tairy Udas Hai,, Bin Tairy Safar-E-ZINDAGI Munkin To Nahein,, Lahrata Huwa Mairi Hayaat Ka Charagh Bin Tairy Udas Hai,, Aa Mil Baith K Kuchh Sun Kuchh Suna Haal-E-Dil,, Shahar-E-Dil-Rubaa Sy Jata Huwa Ye RAAHI Bin Tairy Udas Hai...*
Kitni Palkon Se Fizaaon Mein Sitarey Tootey
"Kitni Palkon Se Fizaaon Mein Sitarey Tootey. - "Kitne Afsanon Ka Unwaan Bana EID Ka CHAAND.
Kaash K Is Eid Pe Mere Mathay Ki Bandiya Hoti Tere Naam Ki
Kaaash K Is Eid Py Mairy Maathy Ki Bindiya Hoti Tari Naam Ki Mairy Kaan Ki Baaliyaan Tujh Sy Waabsita Hoti, Ye Naak Mein Pahni Hy Jo Nathli, Jurr Jaye Ye Bhi Tujh Sy, Mairi Kalaai Ka Ye Kangan, Khanky Taira Naam Ly Kar, Kaaash Is Eid Py, Maira Sajna Sanwrna, Mansoob Ho Tum Sy, Mairy Pairon Ki Payel Mein, Sur Ho Shamil Tairi Chaahat Ka, Kaash Ye Eid Ho Tairy Naam Ki, Kaaaash Ye Eid Mujhy, Tum Sy Jorr Dy, Kaaash Ye Eid RAAHI Tujhy, Mujh Sy Jorr Dy,
Chaand Raat Ko Tujhe.Khud Choorian Pehnao'n Mein
+' Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main,,, * Jee Karta Hai Tujhe Khud Sanwaroon Sajahoon Main,,, * Mehndi Ki Khushboo K Saat Teri Sansoo Main Utroon,,, * Ho Asia K Teri Hathelioon Main Khud Ko Bikhrahoon Main,,, * Har Khushi Ki Tarha Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhe,,, * Tere Mukhre Pey Kiran Si Ban Kar Muskarahon Main,,, * Jaise Hawa Aati Hai Jaise Chandni Aati Ha Ghar Tere,,, * Pata Tujhe Na Chale Is Andaz Sey Kabi Aaon Main,,, * Tere Dil Main Samaa Jaon K Asia Hi Ho Jae,,, * Kabi Dharkan Ban Kar Tere Dil Ko Dharkahon Main,,, * Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Nazuk Kalayon Main,,, * Ho Asia K Khud He Wo Choraian Ban Jaon Me...!!!
Chaand Eid Ka Nazar Aaya Hai Phir Mere Gao'n Mein
Chaand Eid Ka Nazar Aaya Hy Phir Mairy Gao'N Mein, Raasta Daikha Hy Maira Phir Kisi Ny Gao'N Mein, Nazarein Bichhi Hy Un Raahon Py, Jo Raasta Dakhil Hota Hy Mairy Gao'N Mein, Yaad Koi Kar Raha Intzar K Deep Jala Kar, Tanha Eid K Din Bethi Hogi Us Peepl Ki Chhao'N Mein, Aas Liye Dil Mein Mairy Lotny Ki Eid Par, Eid Mubarak Keh Rahi Hogi Sehliyon Sy Gao'N Mein, Keh Rahi Hogi Youn Lot Aao RAAHI Din Hy Eid Ka, Daikho Din Eid K Bhi Udaas Houn Sary Gao'N Mein,
Doston Tum Ko Eid Ki Nai Sahar Mubarak Ho
Doston Tum Ko Eid Ki Nai Sahar Mubarik Ho. Khushiyon Se Bhara Ghar Mubarik Ho. Dilon Ki Nafraten Meta K Sub Ko Gale Lagana. Dilon Mein Paida Tum Ko Naye Dar Mubarik Ho. Khushi Ki Nai Rahen Muhabbaton Ki Manzlen. Tum Ko Ye Nai Manzeleen Nai Rah-Guzar Mubarik Ho. Laho Laho Hain Bastiyan Adawaen Bahut. Bhula K Sub Ranjishen Naya Nagar Mubarik Ho. Bahaar-E-Noo Too Guzr Mere Chaman Se Ruk Ruk Kar. Mekhta Ye Watan Khusbo Ka Naya Safr Mubarik Ho. Jhuke Hain Sar Humare Apna Lahu Dekh Kar. Meta K Nafraten Sub Tum Ko Buland Sar Mubarik Ho. AFFAN, Mein To Dua Go Hoon Sub Ki Khushi Ka. Sub Ko Eid Ki Nai Khushiyon Ka Samar Mubarik Ho........!
Koi Hum Dard Nahi Koi Hum Nawa Nahi
Koi Ham-Dard Nahein Koi Ham-Nawa Nahi. Jalti Hai Aag Dil Mein Judai Ki Uth'Ta Dhunwan Nahi. - Log Dekh Rahe Chand Eid Ka. Main Dekhon Apna Chaand Aisa Koi Aasmaan Nahi. - Mere Dil K Chaman Mein Mehkein Kaisy Phool Khooshi K. Aisa Koi Bhanwra Nahi Aisa Koi Gulsitan Nahi. - Raah Dekhti Hai Aankhein Aaj Bhi Us Ki. Us Shakhas Ki Jo Mere Haal Se Anjaan Nahi. - Keh Do Use Koi Jaa Kar Ab K Lote Aaye Eid Par. Rota Hy Dil Tou Hontoon Py Muskaan Nahi.
Eid Aai Tum Na Aye Kiya Maza
Eid Aai Tum Na Aye Kiya Maza Hai Eid Ka,,,,,
,,,
,,,
Eid Hi To Naam Hai Ek Dusre Ki Deed Ka...*
03004522518
Wednesday, 7 August 2013
Apni Khatir Jage Ho Soye Ho Apni Khatir Hanse Ho
Apni khaatir jage ho, soye ho, Apni khaatir hanse ho, soye ho, Kis liye, Aaj khoye khoye ho, Tum ne aansuu bohat piye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Tum azal se dikhon ke dairey ho, Chahey khud ko ghamon mein ghairey ho, Jab se paida huye ho mere ho, Aaj kholain ge lab siye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere sirf mere ho ke raho, Ab mujhe apne dard sehne do, Dil ki har baat dil se kehne do, Meri banhon mein khud ko behne do, Mudatt'ton zakham khud siye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Hussan hi hussan ho, Zahanat ho, Aashiq hon mein, Tum to mohabbat ho, Tum meri , Bas meri amanat ho, Ji liye, Jis qadar jiye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Rehte ho ranj-o-gham ke ghairon mein, Dukh ke, asaib ke baseron mein, Kese choroon tumhain andheron mein, Tum ko de doon ga sab diye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho...*
Hum Tere Hijar Mein Andar De Bikhar Jatay Hain
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen Shaam Hotay Hee “Wasi” Loog Tou Ghar Jaatay Hain...*
PhiR wOh Campus Ki Fiza Ho Shaam Ho
Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho, Hath hathon mein tera ho, shaam ho, Khauf ata hai mujhe us waqt se, Raasta na mil raha ho, shaam ho, Kis qadar be'kaif guzre gi woh shaam, Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho, Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao'n, Sheher ka banjar'pana ho, shaam ho, Ho rahi ho teri tasveeron se baat, Tera khat khola hua ho, shaam ho, Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup, Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho, Dard o gham ki dhund mein liptaa hua, Qaafila sa chal para ho, shaam ho, Ya'ilahi aese lamhe se bachaa, Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho, Ik yehi khawhish na puri ho saki, Tu kalejey se laga ho, shaam ho...*
Koi MalaaL Koi Aarzoo Nahi Karta
Koi malaal koi aarzoo nahin karta, Tumhare baad yeh dil guftagu nahin karta...+
Koi na koi cheez meri toot jati hai, Tumhari yaad se jab bhi wuzu nahin karta...*
Aadhi Raat K Sanatey Mein Kis Ne Phone Kiya Hai Mujh Ko
Aadhi raat ke sanatey mein, Kis ne phone kiya hai mujh ko ? Jane kis ka phone aya hai, Phone utha kar yu'n lagta hai, Us jaanib koi gum'sum, gum'sum, ukhrra ukhrra dheerey dheerey kaamp raha hai, Mehki huyi ik khamoshi hai ghupp khamoshi hai, lekin is khamoshi mein bhi goonj rahe hain, Thandi saansain, barish, aansu, Khamoshi se thak kar us ne saans liya to, Choorri khanki, Uff yeh khann khann…. Ik lamhe mein sarey badan mein phail gayi hai, Tere ilaawa koi nahin hai, Lekin itne barso'n baad…*
Yeh Mera Housla Hai Tere Baghair
Yeh mera hausla hai tere baghair, Saans leta hoon baat karta hoon..
Mere Moula Teri Janat Se Juda Lagti Hai
Mere maula teri janat se judaa lagti hai,,,,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai...*
Jab Se Yeh Peghaam Mila Hai
Jab se yeh peghaam mila hai, Jaana'n! tum aaney wali ho, Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai, Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai, Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain, Kehte hain ke, Is raste se tum guzro gi, Nanhe mune gulabon ka kehna hai, Jitne din tum pass raho ge, Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge, Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain, Jugnu kab se chat pe, ghar ke, Har goshay mein chamak rahe hain, Suraj aur barish bhi kal se saaye'baan per tikkay huye hain, Dheemey dheemey chehek rahe hain, Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker, Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge, Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam, Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker Kho jayegi, Phir na kabhi wapis aaye gi, Is se pehle ke yeh shaam bhi, Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye, Tum aajao naa'n, Aabhi jao…*
Ab Mera Phone Kiyon Uthao Ge Tum
Ab mera phone kyon uthao ge tum, Ab mera tum ko ehtraam nahin, Ab tumhain mujh se koi kam nahin...*
Pehli Baar Jab Us Ne Meri Maan Ko Aami Jaan Kaha To
Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to, Mujh ko yu'n mehsoos hua, Apna sab kuch chorr ke jese, Ik lamhe mein, Mera sab kuch us ne apna maan liya hai, Mujh ko sab kuch jaan liya hai...*
Ab Jo Lotay Ho Itne Salon Mein DhoOp Utri Huyi Hai
Ab jo lotay ho itne saalon mein, Dhoop utri huyi hai baalon mein, Tum meri aankh ke samundar mein, Tum meri rooh ke ujaalon mein, Phool hi phool khill uthey mujh mein, Kaun aaya mere khayalon mein, Mene jee bhar ke tujh ko dekh liya, Tujh ko uljhaa ke kuch sawalon mein, Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu, Tu hi dukh dard ke hawalon mein, Jab tera doston mein zikar aaye, Theess uthti hai dil ke chaalon mein, Tum se abaad hai yeh tanhai, Tum hi roshan ho ghar ke jaalon mein, Saanwli shaam ki tarah hai woh, Woh na goron mein hai na kaalon mein, Kya usey yaad aaraha hoon Wasi, Rang ubhrey hain us ke gaalon mein….*
Hum Se Kiya PoOchte Ho Hijar Mein Kiya Karte Ha
Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain, Tere laut aaney ki din raat dua karte hain, Ab koi hont nahin in ko churaaney ate, Meri aankhon mein agar ashk hua karte hain, Teri tu jane, par aye jane-tamana hum to, Saans ke sath tujhe yaad kiya karte hain, Tu hi pehlu mein nahin warna december mein wahin, Dhoop mein akhbaar parhaa karte hain, Kabhi yaadon mein tujhe baa'hon mein bhar lete hain, Kabhi khawbon mein tujhe choom liya karte hain, Teri tasveer laga lete hain hum seeney se, Phir tere khat se teri baat kiya karte hain, Gar tujhe chorrne ki soch bhi aaye dil mein, Hum to khud ko bhi wahin chorr diya karte hain...*
Hum Ne Jo Deep Jalaye Hain Teri Galiyon Mein
Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein, Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein, Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni, Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein, Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai, Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein, Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai, Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein, Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai, Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein....*
Hum Tere Hijar Mein Andar Se Bikhar Jatay Hain
Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain, Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain, Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu, Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain, Teri yaadon ki agar'batiyan jal uthte hi, Hum tere dard ki khushbu'on se bhar jate hain, Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin, Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain...*
Ashk Girte Rahe DhoOl Bajta Raha
Ashkk girte rahe, dhol bajta raha, Log marte rahe, dhol bajta raha, Ronqain lag gayi'n, roshni barh gayi, Khawab jalte rahe, dhol bajta raha, Kitne lachaar they, kitne be'bas they hum, Hath milte rahe, dhol bajta raha, Raqss they maseeha mere dam-be'dum, Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha..
Charha Huwa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka
Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka “Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka...*
Kab Talak Tujh Pe Inhesaar Karen
Kab talak tujh pe inhisaar karain, Kyon na ab doosron se pyar karoon, Tu kabhi waqt per nahin pohancha, Kis tarah tera aitbaar karain...*
Hijar Ka Naag To Pathar Ghayal Kar Deta Hai
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai, Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai, Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho, Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai, Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh, Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai, Dil mera veeran hua to hasrat kesi, Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai, Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye, Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai, Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai, Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai, Tera chahra har chehre per chaa jata hai, Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai, Aankh ke registaa'n ko teri yaad ka badal, Chuu jaye to pal mein jal'thall kar deta hai...*
Tanzz Karte Hain Jo Log Un Ko Dikhane K Liye
Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye, Laut aao na mere yaar zamane ke liye, Is liye bhi teri tasveer jala di mene, Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye, Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari, Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye, Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein, Un darakhton se tera naam mitaney ke liye...*
DiL Mein Na Sahi Qadmon Mein Sahi
Dil Mein Na Sahi Qadmoon Mein Sahi Jagha Tu Di Us Ne,,
Ay Allah Tera Laakh Shukr He Kaheen Se Tu Shurowaat Ki Us Ne""
Kehte Hain K Eid Ki Aamad Hai Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Kehty hain k EID ki aamad hai Tum aao to hum b EID karen Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed kren Tum se ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed kren Mana k hm deewany hen Sb baton se anjany hain Jab apny b begany hain, Kiya ghairon se umeed kren Tum ao to hm b Eid karen Tum ao to hm b Eid kren...*
Chalo Kuch Dair Hastay Hain Mohabbat Par Inayat Par
Chalo Kuch Dair Hastay Hain Muhabbat par Inayat par K be-bunyad baten hain Sabhi rishtay Sabhi Natay Zarurat ki Hain Eejaaden Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana K sub hai Phair lafzoon ka Hai sara Khail herfon ka Nahi hai mehboob koi b Jumlay say kastay hain Chalo Kuch dair Hastay hain Usi ko Yaad kertay Hian Jisay hum Zeest Kehtay hain K lena Sans Bin jis k Humain Ik Jurm Lagta Tha Bala ka taiz Lagta Tha Jo Saya Bun k Rehta Tha Juda Ab Us k rastay hain Chalo kuch Dair Hastay hain...*
Technology Kitni Bhi Barri Ho Jaye Lekin
Technology Kitni B Bari Ho jaye Lekin, . . . . . . . .
Masjid Se Churai Hui Chappal GOOGLE Ka Baap B Nahi Dhoond Sakta,,,
Good Night
Huye Jis Pe Mehrban Tum Koi Khushnaseeb Ho Ga
huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai vahi champai ujale vahi surmai dhundalake koi phul ban gaya hai koi chand koi tara jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k...*
Aik Hindu Aur Cristian Sehra Mein Bhatak Gaye
Aik hindu aur cristian sehra mein bhatak gaye. . Door aik masjid nazr ayi, Hindu bola! Dekho wo masjid hai, . Agr hm khud ko muslim zahir krein to wahan sy hmein khany ko kuch mil skta hai. . Mein apna nam Ahmed btaunga. . Mgr cristian ne khud ko muslim zahir krny sy inkar kr dya, . Imam ne dono ka khush dili sy istaqbal kiya aur nam puchay. . Hindu: mera nam Ahmed hai. . Cristian: mera nam Micheal hai. . Imam sahb ne aik shakhs bulaya aur kaha, . Micheal k liye kuch khany ko lao. . Phr hindu ki taraf mukhatib huay aur kaha, . Ahmed sahb ! . . . . . . . . . 28wa Roza mubarak ho :-
Hum Bhi wOhi Hijr-e-Yaraan Bhi
- Hum Bhi Wohi Hijr-e-Yaraan Bhi Wohi Aur Wohi Dil-e-Be'Taab Bhi...* - - Suna Hai Koocha-e-yaraan Mein EID hai Kuch Din baad...* -
Angrezi YaaDen
Angrezi Yadain....
Mere Aangan Mein Kabhi Flowr Khila Krty Thy. Meri Eyes Mein B Dreams Basa Krty Thy, Mujhko Halaat Ki Aandhi Ne Giraya Othrwise. Mere Shadow Mein B Kuch People Raha Krty Thy, Hain Remembr Hmain Rafaqat Ki Wo Watch Ab B. Dil Ki Heartbeat B Tere Sath Suna Krty Thy, Aaj Wo Mehfil Mein Stranger Bnay Bethey Hain. Jo Kabi Mujey Apni Life Kaha Krty Thy. Ab Trasti Hain Teri Deed Ko Eyes, IK Period Tha Hm Roz Mila Krty Thy...*
Apne He Shab-O-Roz Mein MasroOf Raha Kar
Apne He shab-O-roz men masrOOf raha kar, . Ham lOg bure lOg hain ham sy na miLa kar, . Pathar hi lagen''gye har simt sy aa kar, . Ye jhOOt ki dunya hai yahan sach na kaha kar, . Ujrre hOue lOgOn sy gurezaan na hOua kar, . HaLaat ki qabrOOn k Qatbay bhi parha kar, . Har waqt ka hasna tujhe barbaad na kar de, . Tanhai k lamhOOn men kabhi rO bhi liYa kar, . Aeye mOhsin tujhe dushman ki pehchaan kahan hai,,,,?? . TOu haLqa-e-yaraan men bhi mohtaat raha kar....
Tumhen Shayad Yeh Lagta Hai Mohabbat KhoObsurt Hai
tumhEn Shayad Yeh LaGta Hai...* . . M0hbbat Kh0oBsurt Hai...* . . Tumhara Ghar Sanwary Gi...* . . TumhEn Y0unhi Nikhary Gi...* . . TumhEn Apna Bana Ley Gi...* . . TumhEn Shayad Yeh LaGta Hai...* . . M0hbbat Rub Ki S0orat Hai...* . . TumhEn Dukh Sey NikaLy Gi...* . . TumharEy Dard Samjhy Gi...* . . TumharEy Gham SanbhaLy Gi...* . . MujhEy MaL0om Hai Itna...* . . M0habbat Shab Ki S0orat Hai...* . . UjaaL00n Ko Yeh Kha Ley Gi...* . . TumhEn Tum Sey Chura Ley Gi...* . . TumhEn PaGal Bana Dy Gi...* . . M0habbat Maar DEti Hai...* . . M0habbat Maar DaaLy Gi...* + "*Feel My Love*"
Dard Ka Shehr Basaate Hue Ro Parta Hon
Dard ka shehr basaate hue r0 parrta hun... R0z ghar la0t k aate hue r0 parrta hun...:-( Janay kya s0ch k le laita hun tazah gajjre... Aur phr phainkne jate hue r0 parrta hun... Jism pe chaaq0o se hanste hue j0 likha tha... Ab t0 woh naam dikhate hue r0 parrta hun... L0g jb r0gg ki tafseel talab krte hen... Sakht ek baat chhupaate hue r0 parrta hun... Garam thi ch0tt tabhi likh saka ye gham ki bayaaz... Ab t0 ek she'r sunaate hue r0 parrta hun... R0z dil krta hai munnh m0rr l0n mien duniya se... R0z mien dil k0 manaate hue r0 parrta hun... Ismm e laila k0 faqat is liye rakha mahfii... Ph0ott kr naam batate hue r0 parrta hun... D0or jata h0 k0i yaar subhi kehte hen... Sirf mien haath hilaate hue r0 parrta hun... Chnnd chup chaap C yaad0n ka hai saaya mujh par... QaiS! Baarish mien nahaate hue r0 parrta hun...:-( :-( (ShahZad QaiS)
Kash K Is Eid Pe Mere Mathay Ki Bandiya Hoti Tere Naam Ki
Kaaash K Is Eid Py Mairy Maathy Ki Bindiya Hoti Tare Naam Ki Mairy Kaan Ki Baaliyaan Tujh Sy Waabsita Hoti, Ye Naak Mein Pahni Hy Jo Nathli, Jurr Jaye Ye Bhi Tujh Sy, Mairi Kalaai Ka Ye Kangan, Khanky Taira Naam Ly Kar, Kaaash Is Eid Py, Maira Sajna Sanwrna, Mansoob Ho Tum Sy, Mairy Pairon Ki Payel Mein, Sur Ho Shamil Tairi Chaahat Ka, Kaash Ye Eid Ho Tairy Naam Ki, Kaaaash Ye Eid Mujhy, Tum Sy Jorr Dy, Kaaash Ye Eid RAAHI Tujhy, Mujh Sy Jorr Dy,
Chaand Eid Ka Nazar Aya Hai Phir Mere Gao'n Mein
Chaand Eid Ka Nazar Aaya Hy Phir Mairy Gao'N Mein, Raasta Daikha Hy Maira Phir Kisi Ny Gao'N Mein, Nazarein Bichhi Hy Un Raahon Py, Jo Raasta Dakhil Hota Hy Mairy Gao'N Mein, Yaad Koi Kar Raha Intzar K Deep Jala Kar, Tanha Eid K Din Bethi Hogi Us Peepl Ki Chhao'N Mein, Aas Liye Dil Mein Mairy Lotny Ki Eid Par, Eid Mubarak Keh Rahi Hogi Sehliyon Sy Gao'N Mein, Keh Rahi Hogi Youn Lot Aao RAAHI Din Hy Eid Ka, Daikho Din Eid K Bhi Udaas Houn Sary Gao'N Mein,
Rasston Mein Rahe Na Ghar Mein Rahe
Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay Lafz Saaray Charaagh Ban Jayein Vasf Aisa Mere Hunar Mein Rahay Zeher Saara Shajar Mein Aa Jaye Ay Khuda Zindagi Samar Mein Rahay Is Lye Gardishon Ko Paala Hai Koi Tou Halqa-e-Asar Mein Rahay Ek Zamaana Gharon Mein Tha Aabaad Be-Ghar Ham Teri Nazron Mein Rahay...*
Shab-e-wehshat Ki Aadat Ho Gai Hai
Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai, Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai, Kisi ka lamss hai jis ke hunnar se, Mukammal sab ibaadat ho gayi hai, Koi din ke liye deewangi bhi, Mere dil ko ghaneemat ho gayi hai, Bohat behaal rehte they magar ab, Humain hijrat ki aadat ho gayi hai, Gulaab asaar rastey muntazir hai, Ke mausam ki inaayat ho gayi hai, Zameen se aasman tak roshni hai, Meherbaan hum pe fitrat* ho gayi hai.. (fitrat;nature)
Aalim-e-Mohabbat Mein
Aalim-e-mohabbat mein, Ik kamaal wehshat mein,
Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai, Titliyaan pakarney ko, Door jana parta hai...*
Zamaney walon Se Chhup K Rone K Din Nahin Hain
Zamaney walon se Chhup K roney ke din nahin hain, Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain, Main jaan sakti hoon vasl mein asal bhaid kya hai, Magar haqeeqat shanaas honey ke din nahin hain, Hamara khud se makaalma* bhi neya neya hai, Kisi badamn ka libaas honey ke din nahin hain, Abhi to aankhon mein aanusyon ki nami hai baqi, Zameen-e-dil par pyaas boney ke din nahin hain.. (makaalma;conversation)
Kaise Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Mousam
Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ? Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam...*
Hai Mohabbat Azaab.Barbaadi Dil Ko
Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ? Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali Chaahaton Ki Hari Bhari Daali Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di...*
Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Liya Hai
Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa Bohat Din Saath Mere Reh Lia Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai...*
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam Dekhna Hai Ose Qareenay Se Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi Warna Kia Khauf Os Safeenay Se Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se...*
Umer Raaigaan Kar Di Tab Yeh Baat Maani Hai
Umer Raaigaan Kar di Tab Ye Baat Maani Hai Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai...*
Janay Kaise Sambhaal Kar Rakhe Sab Iraaday
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay...*
Meri Aankhon Ko Soojhta He Nahi
Meri Aankhon Ko Soojhta He Nahi Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi....*
Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Hum
Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ? Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain...*
Shaam Ko Sogwaar Karte Rahe Hum
Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahe Ham Tera Intezaar Kartay Rahay TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay...*
Yeh Hum He Jante Hain Judai K
Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr par, Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua...*
Bahot Aaraam Karna Chahti Hon
Bohat Aaraam Karna Chahti Hun Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai Ise Neelaam Karna Chahti Hun Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai Ise Naakaam Karna Chahti Hun
Yeh Naam Mumkin Nahi Rahe Ga
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga...*
Hum Ne DiL Ko Lakh Samjhaya
hum ne dil ko lakh samjhaya,ye dil unhe yad karna chod de, par dil se ek avaj ati rahi,ki har sans mei bhi to basa hai kya sans lena chod dein...*
Monday, 5 August 2013
Zar Ki NamoOs Ki Rasmon Se
Zar ki namoos ki rasmon se baghaawat kar ke, Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke, Baiy'n karti huyi aankhain, yeh pareshan zulfain, Aur kya chahte ho us se mohabbat kar ke, Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan, Hum ne dekha hai bohat in ki ibadat kar ke, Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain, Zulam karte hain woh zaalim ki himayat kar ke, Dil ke sehraao'n ki veeraaniya'n jati hi nahin, Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke, Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi, Laut jaye ga kisi roz sharaarat kar ke..
Mere Lehje Mein Jo Aansu Se Utar Aye Hain
Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain, Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain, Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi, Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain, Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi, Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain, Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka, Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain, (tanbeeha;warning)(bahsarat;hint)
Mujhe Us Se Muhabbat Hai
Mujhe us se mohabbat hai, Magar kese kahoon us se, Woh meri baat ko sanjeedgi se kam hi leti hai, Har ik pal muskurana Khilkhilaana, Doston per fikray qassna, Nit'naye masoom mansoobay banana, Shokh chanchal har gharri taaza shararat main bohat masroof rehti hai, Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko, Main izhaar se Iqraar se khud rokay rakhta hai, Ke mehke khawab bun'ne, khelne ka waqt hai uska, Meri chahat Kahin masoomiyat na cheen le uski, Sadaa se hum ne dekha hai, Mohabbat aadmi ko is'qadar sanjeeda karti hai, Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain, Main darta hoon Kahin yeh bhol'pan us ka, Yeh har pal cheh'chihaana muskurana sab, Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye, Kahin us shokhh ko bhi rog koi, Chup chaap na lag jaye, Mujhe us se mohabbat hai, Magar kese kahoon us se….
WOh Mujhe Chorh Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main, Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe, Tum ne ik umar kiya hai nazar'andaaz Wasi, Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe, Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la'hasil hai, Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe..
Roshni Aur Baharain Tumhi Rakh Lo Jana
Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana, Mere jugnu mere mausam wapis kar do, Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe, Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do, Jane waley se bas itna hi kaha tha mene, Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do, Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana'n, Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do, Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi, Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..
Tum wahan Ho Yahan Nahi Ho Tum
Tum wahan ho, yahan nahin ho tum, Gham hi gham hain, jahan nahin ho tum, Ab kisi aur simt dekhta hoon, Ab mera aasmaan nahin ho tum, Ishq zinda rahe ga mera, Haan magar jaavedaa'n nahin ho tum, Yeh zameen, aasman, hamara dil, Har jagha ho, kahan nahin ho tum, Tum karri dhoop ka safar na sahi, Haan magar saayebaa'n nahin ho tum, Meri yadain tumhare sar per hain, Jane man! be'imaan nahin ho tum, Kis liye aap aap karte ho, Mujh se gar bad'gumaan nahin ho tum..
Sanp He Sanp Nazar Aatay Hain
Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi” Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?
MeIn Ghar K Saray Mousam
Meine ghar ke sarey mausam, Sab deewarain, Saarey pardey, Yaadon se rang daaley hain, Tum aao ge, Tum is ghar ki har khirrki, Har bagheechey, Har ik goshay ko, Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!
Kab Nahi Naaz Uthaye Hain Tumhare Mein Ne
Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene, Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene, Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka, Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene, Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam, Roz khanjar keyi seeney mein utare mene, Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha, Apne seeney se lagaye tere laaray mene, Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar, Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene, Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast, Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene, Meri awaaz akeli hi palat kar aayi, Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..
Teri HaR Baat Se Anjan Bhi Ho Sakta Hai
Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai, Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai, Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain, Woh kisi jism ka dalaa'n bhi ho sakta hai, Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai, Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai, Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon, Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai, Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne, Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai, Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain, Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai, Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta, Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai, Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat, Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai.. (bherriya;wolf)(bhaiss;appearance)(nochney;plucking)
Kahen Jaye Usay Meri Duayen YaaD Karti Hain
Kahen jaye usey meri duyayen yaad karti hain, Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain, Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon, Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain, Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye, Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain, Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai, Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain, Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata, Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain..
Tum Jis Baat Pe Hanste Ho MeIn Ro Parta Hon
Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon, Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho, Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho, Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho, Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon, Tum us baat pe roshan roshan lagte ho, Soch raha hon kitne zyada alag alag hain, Teri meri soch ke dhaarey, Kitne zeyada judaa judaa hain, Soch raha hoon, Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese, Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese..
Haaye wOh Lamha K Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi
Sari RaaT Ki Jaagi Aankhen Collage Mein Kiya Parhti Hon Gi
Sari raat ki jaagi aankhein, College mein kiya parrhti hon gi, Yunhi khoye, dil hi dil mein, Jaanay kiya kiya karti hon gi, Sari raat ki jaagi aankhen, Koi bolay, kaan na dharna, Koi hillay to ek dam darna, Koi daikhe in ka barhna, Apne aap say larti hon gi, Sari raat ki jagi aankhein, Apni kitaabein phartey rehna, Us ki baaten kartey rehna, Us ki yaadein ghartey rehna, Jeetay jeetay marti hon gi, Sari raat ki jagi aankhein, College mein kiya parrhti hon gi..
Maan Lai Ab Bhi Meri Jaan-e-Aadaa Dard Na Chun
Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun, Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun, Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga, aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun, Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein, Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun, Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta, Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun, Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin, Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun, Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain, Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun, Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein, Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun, Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna, Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun..
Apna To Chahton Mein Yehi Ik AsoOl Hai
Apna to chahton mein yehi ik asool hai, Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai, Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye, Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai, Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de, Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai, Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain, Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai, Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri, Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai, Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi, Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..
Abhi Kuch Bhi Nahi BadLa
Abhi kuch bhi nahin badla, Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain, Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain, Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu Raqss karti hai, Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain, Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon ki narm pooron se likhey sab harf zinda hain, Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai, Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley sarey naqsh qayem hain, Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain, Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se, Tumhari baat kartey hain, Bohat se saal guzrey hain, Bohat se waqt beeta hai, Meri chahat nahin beeti, Meri himmat nahin guzri, Abhi kuch bhi nahin badla, Abhi kuch bhi nahin badla, Agar chaho, Agar samjho, Meri maano, To laut aao…
Kaisa Khouf Naak Sa Manzar Hai
Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se, Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se, Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye, Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se, Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain, Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se, Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai, Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se, Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya, Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se, Uss ko aadat hai jarr'en* kaat'tey rehne ki Wasi, Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se.. (jarr'en;root, mehwar;focus)
Yeh Kab Kaha Tha Nazron Se Khouf Aata Hai
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ? Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai, Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta, Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai, Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain, Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai, Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne, Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai…. Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun, Ta'alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..
Sochta Hon K Usay Neend Bhi AaTi Ho Gi
Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ? Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi
Tum Mere Dard Bhi Gham Bhi
Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum, Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum, Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai , Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum, Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho, Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum, Kya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki, Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum, Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho, Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum, Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi, Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum, Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag, Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum, Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai, Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..
Dheeray Se Sarakti Hai RaaT Us K Aanchal Ki Tarah
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga'uon Ga, Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah, Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi” Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah
Phiray Ga To Bhi Youn He Kuu-Ba Kuu
Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ? Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah
Raaten Hain UdasS Din Karry Hain
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain Ay Dil Tere Honslay Baray Hain Ay Yaad-e-Habib Sath Daina Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai, Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai, Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai, Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai, Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai, Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ? Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai
Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi
Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ? Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz” Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain
Teri Baaten Hi Sunnane Aye Dost
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain Tere Aane Ke Zamaane Aaye Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ? Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam Kaash Phir Koi Bulaane Aaye Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii Log Kyun Jashn Manaane Aaye ? So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz' Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye
Umar Bhar Ka Maan Toota Aur Kiya Morr Aya
Umar bhar ka maan toota, aur kya, Morr aya, sath choota, aur kya, Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon, Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya, Jaan se jaana zaroori to nahin, Aashiqui mein sar to phoota, aur kya, Rote huye laal pathar ho gaye, Rafta rafta rang choota, aur kya, Reh gaya tha yaad ka rishta faqat, Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya, Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti'n, Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya, Ghair to they ghair apne aap ko, Sab se barh kar hum ne loota, aur kya, aao dekho to zara baagh-e-wafaa, Ab koi gul hai na boota, aur kya, Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz, Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
Jab Bhi DiL Khol K Roye Hon Ge
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia Phool Kaanton Mein Piroye Honge Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay Na-Khudaon Ne Duboyein Honge Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz” Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge
Is Se PehLe K Bewafa Ho Jayen
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ? TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz” Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein
Ankh Se Door Na Ho.DiL Se Utar Jaye Ga
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz” Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga
Aansoun Ki Tarah Nazron Se Giraya Us Ne
Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne, Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne, Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne, Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne, Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ” Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.
Chandni RaaT Ko Saher Kehna
Chandni Raat Ko Saher Kehna Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna, Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna, Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna, Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna, Khud Ujaagar Karo Hunar Apna Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna, Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna, Zikar Teraa Gali Gali Karna Haal Apna Nagar Nagar kehna, Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz” Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
Itne Bhi To WOh Khafa Nahi Thay
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
Be Niyaaz-e-Gham-e-Paimaan
Be niyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana, Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana, Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein, Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana, Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila, Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana, Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher, Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana
Huwa Hai Tujh Se Bicharne K Baad MaloOM
Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom, Ke tu nahin tha, tere sath aik dunyaa thi..
Yeh Jo Sargashta Se Phirtay Hain
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz” Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
Payaam Ayen Hain Us Yaar-e-Bewafa K Mujhe
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer “Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe
WOh Dushman-e-Jaan Jaan Se Pyara Bhi
Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha, Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha, Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai, Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha, Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai, Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha, Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha, Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha, Ab agley zamaney ke milain log to poochain, Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha, Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha, Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha.. (rag-o-pey;inside the soul, taaqub;chase, anjuman-e-araa;happy)
Juz Tere Koi Bhi Din RaaT Na Jane
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ? TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz” Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere
Ab K Rut BadLi To Khushbu Ka Safar
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ? Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ? Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ? Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ? Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ? Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz” Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?
Aisa Nahi K Hum Ko Muhabbat Nahi
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz” Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Ab Tere Zikar Pe Hum Baat
Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain, Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle.. (raghbat;attraction)
Doobte Doobte Kashti Ko
Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga, Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..
Wehshatain Barhti Gayin Hijr K
Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath
Is Qadar Musalsal Theen Shiddatain
Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ? Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ? Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ? Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki
Faraz Ab Koi Sodaa Koi JunOon Bhi Nahi
“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi “Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi
Wafa K Baab Mein Ilzam-e-Aashiqi
Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia “Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia
Shair Kisi K Hijr Mein
Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se, Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..
Baith Jata Hon Khaak Pe Aksar
Baith Jata Hon Khaak Pe Aksar...
Kabhi Kabhi Apni Oqat Achi Lagti Hai...
Kisi Ghareeb QabeeLay Ki Tarha
Barish Thi Hum Thay Aur Ghani Ho Rahi Thi Shaam
Suna Hai Eid K Aane Mein Kuch Roz Baqi Hain
Sunday, 4 August 2013
Us Ne MaktOob MeIn Likha Hai MaJboOr Hain Hum
Us Ne Maktoob Mein Likha Hai K Majboor Hain Hum, Aur Bahon Mein Kisi Aur Ki Mehsoor Hain Hum, Us Ne Likha Hai K Milne Ki Koi Aas Na Rakh, Tere Khawbon Se Khayalon Se Bahut Door Hain Hum, Ek Sa'at Bhi Shab-e-wasl Ki Bhooli Na Humain, Aaj Bhi Teri Milan Rat Pe Maghroor Hain Hum, Chashm-E-Tar Qalb-E-Hazeen Aable Paun Mein Liye, Teri Ulfat Se Tere Pyar Se Mamoor Hain Hum, Un Ki Mehfil Mein Humain Izan-E-Takallum Na Mila, Un Ko Andesha Raha Sarmad-O-Mansoor Hain Hum, Youn Sitaron Ne Sunai Hai Kahani Apni, Goya Afkhar Se Jazbat Se Mehroom Hain Hum, Us Ne Likha Hai Jahan Mein Karain Shikwa Kis Se, Dil Garifta Hain Gham-O-Dard Se Bhi Choor Hain Hum, Tera Begano Se Hum Se Hai Rawaya, MOHSIN Bawajood Is K Tere Ishq Mein Mash'hoor Hain Hum................!